29th May, 2015.
Aaj phir woh dastak de gaye in khamosh darwaazon par,
aur de gaye kuch jeene ki wajah, ek maqsad,
jo aaj bhi zinda rakhti hain mujhe in veeraniyon mein,
maqsad intezaar ka.
Intezaar karta hoon main, shayad unhe bhi intezaar hain,
Faaslon ke kashmkash mein humein intezar hain ek dusre ka,
Ki kab hum doori mitayen, ki kab woh ek wajah banein
thaherne ki.
Dard hota hain intezaar mein, bewajah raahon mein bhatakne
mein,
Shayad woh bhi yahi kartein hain, bewajah dard sahtein hain.
Nadan, nasamajh hum dono hi isi intezaar mein hain,
ki kabhi kisi raah par ek dusre se mil jaayein, aur puchhe
ek dusre se,
‘kahan the?’
Mujhe intezaar hain unke dastak ka, mere darwaaze par, unki
muskurahat ka.
Unhe shayad intezar hain unke dil par meri sargoshi ka, ki
shayad chupke se unhe
Choomlun main.
Isi intezaar ke darmiyan aaj main bhi hoon aur woh bhi, ek
dusre ke dard se waaqif.
Toh kya main kahoon, ki main yaahin hoon, unke, aapke
intezaar mein, aapko
Thaamne aur mohabbat se dil mein phir se utarne ke liye?
Kya main kahoon, ki bina kisi kasmakash, aur intezaar na ho?
No comments:
Post a Comment