Friday 6 May 2016

Neelami.

Neelami

Aaj bazaar mein shor bohot thaa.
Goongi aawazein aur cheekhtein sannatein thay.
Vaihshi makhaul aur behuda guftagoo mein,
Aaj bazaar mein shor bohot thaa.

Aaj neelami thi,
Mere yaadon ki, mere afqaron ki,
Tere yaadon ki, tere shayari ki.

Bech aaya un adhjali season ko,
Jinhe thame hue zamana hua thaa,
Bech aaya un lamhon ko,
Jinhe beetay zamana gaya thaa.

Un yaadon ki keemat ada hui,
Mere tootay jism ke tukron se
Meri khwabon ki keemat thi,
Chand behke lafzon se.

Sannata thaa ab bazaar mein,
Tawwaiff bani mera afsana,
Ab bazaar mein shor nahi thaa,
Bikhre ashq ke nishaano mein,
Neelam hua ek begana!

xxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxxx


No comments:

Post a Comment