Monday 27 March 2017

Aadha Sa

27th March, 2017.

Aadha sa jo ishq thaa,
Use adhura hi rehne dete hain,
Ashq-e-musalsal se ab jee ub sa gaya hai.
Khaton ka woh ba-dastuur silsila,
Jisme raat ki syahi thi,
Azaab-rut sa ho gaya hain,
Ab sirf syah hai usme,
Ab rehne dete hain.
Aadha sa jo ishq thaa,
Kissa ban jaane dete hain,
Kabhi kisi sham yaad karlene ke liye,
Ki kya thaa, aur kya nahi,
Kyun nahi.

Phir kisi roz, kisi sham-e-shafaq-taab mein
Agar lage ki ishq adhura saa thaa, poora kartein hain,
Ek khat aur likhna.

Tab tak,
Aadha sa jo ishq thaa,
Use multavi hi rakhtein hain.

Xxx­­­____xxX